Sunday, July 20, 2008

Ali Ali ( Sayings of Hazrat Ali

1)HAZRAT ALI (A.S)
Give thousand chances to your enemy
To become your friend.
But never give a single chance to your Friend
To become your enemy.


[u]2) HAZRAT ALI (A.S)
Jab main chahta hon k khuda se baat karon To mai namaz parta hon.
Or jab mai chahta hu k khuda muj say baat karay to mai quran parta hon.

3) Hazrat Ali (R.A):
"Agr Tum Kisi Ko Chota Dekh Rahey Ho,
To Tum Usey Door Se Dekh Rahey Ho,
Ya Phir Ghuroor Se Dekh Rahey Ho"

4) HAZRAT SULEEMAN (A.S) NE FARMAYA:
Jis k dil men buraee hai, bhlaee na paaey ga aur jis kee zibaan men nukta cheeni hai, aafat mai ghiray ga!

5) HAZRAT ALI (A.S)
"Sub se Ziyada Kamzor AADMI wo he Jo DOST ko HAASIL karne me Naakaam ho, Aur us se bhi Ziyada Kamzor Wo he Jo Haath aai howe DOST ko ganwa de"




6) HAZRAT ALI (A.S)
Dunya Daron ki Sohbat ikhtyar Na karo Q K Agar tu Tang-dast howa to ye tujhey Chorh Dengay Or agar tu Dolat-mand howa tu Tujh se Hasad krengay_

7) Hazrat UMAR r.a. ne Farmaya:
"Mohtaji or Ghurbat 4 Chezon se aati hai,
1: Jaldi Jaldi Namaz Padhne Se,
2: Khade Ho K Pani Peene Se,
3: Mun Se Charagh Bujhane Se,
4' Daman Ya Asteen Se Mun Saaf Karne Se.

8) Hazrat Al i(R.A)
agar kisi shakhs ka zarf azmana ho tou usay ziada izzat di jaye, woh Aala zarf hoga tou aap ko aur zayada izzat dega aur agar kam zarf hoga tou khud ko aala samjhay ga.


9)HAZRAT ALI (A.S)
Do cheezen saari zindagi kaam aayen gi,
1=Ghusay ki halat mei koi fesla mat kro
2=Khushi ki halat mei koi waada mat kro!



10)HAZRAT ALI (A.S)
Jab Ankhain Nafs Ki Pasandeedah Cheezain Dekhnay Lagain To Dil Andha Ho Jata Hai.




11)HAZRAT ALI (A.S)
Yeh na socho ALLAH dua foran Qubol Q nhi karta,
Ye shukar karo k ALLAH humary Gunahon ki saza foran nhi deta..





12) HAZRAT ALI (A.S)
''Acha dost kitni dafa hi kyon na rooth jaye use mana lena chahye, Kyun k Tasbeeh k daney kitni dafa hi kyun na bikhrein chun liye jatey hein'




13) HAZRAT ALI (A.S)
se kisi ne pucha dost aur bahi mein kya fark hay
Ap nay farmaya bahi sona hain
Aur dost heera
Phr is nay pucha sonay aur heeray mein kya fark hai


14)HAZRAT ALI (A.S)
One man ask Hazrat ALI (R.A)
Q1:Qareeb kya he?
A:Qyamat.
Q2:Or qareeb ter?
A:Maut.
Q3:Ajeeb kya he?
A:Dunya.
Q4:Or ajeeb ter?
A:Talib-e-dunya. (continue)


15)HAZRAT ALI (A.S)
Main Janat K Shoq Main Ibadat Nahi Karta K Yeh Ibadat Nahi Tijarat Hai..
Main Dozukh K Khof Se Ibadat Nahi Karta k Yeh Ibadat Nahi Ghulami Hai..
Main Ibadat Sirf Is Liye Karta Hoon K Mera ALLAH Ibadat K Laiq Hai....



16) HAZRAT ALI (A.S)
" Ikhlaaq Ki Qeemat Kuch Nahi Deni Parti , Magar Us Se Her Cheez Khareedi Ja Sakti Hai".




17)HAZRAT ALI (A.S)
Tumharay
"NAFS"
ki qeemat "JANNAT" hai, isay "JANNAT" sey kam qeemat per na baichna.



18)HAZRAT ALI (A.S)
"Ikhtiar, Taqat aur Dolat milnay per log badaltay nahi balkay BENAQAB hotay hain"




19) HAZRAT ALI (A.S)
Kisi Ki Madad Karte Waqt Us K Chehray Ki Janib Na Daikho.
Ho Sakta hai Us Ki Sharminda Aankhain Tumhare DiL Main Ghuroor Ka Beej Bo Dain


20) HAZRAT ALI (A.S)
Badd tareen hai wo shakhs jo bakhshish ki umeed pey gunnah kare.
Or zindagi ke umeed pe tooba ko multawi rakhe.



21) HAZRAT ALI (A.S)[/u]
Jab Meri DUA Qabool Ho To Khushi Hoti Hy K Is Mai Meri Marzi Hy
Or Jab Na Ho To Khushi Or B Barh Jati Hy K Allah Ki Marzi Hy




23) HAZRAT ALI (A.S)
Nemat ka shukar ada karne se nemat milti hai or na shukri se zehmat milti hai.



Agar ap k pass esai aur b islamic chizen ho too pls mujhe mail karna :)
Maula Ali Ka Ghulam

AGaR in mai kuch GaLTi ho gae ho Too ALLAH mujhe maaf karay remember me in your PRAY....!!

No comments: