Thursday, June 4, 2009

Hazrat Ali (R.A) Sayings

Tum Kisi Ko Chaho Or Woh Tumain Thukra Day To Yah Us Ke Bad Nasibi Hai.
Or
Us K Bad tum us ko Zabardasti Apnana Chaho To Yah Tumheray Nafs Ki Zillat Hai.

HAZRAT ALI (R.A)



Tum Gulab Ka Phool Ban Jao q kay Yah Phool Us Kay Hathoon main bhi KUSHBU
chor jata hai jo issay masal k phenk deta hai.

HAZRAT ALI (R.A)

Din ko rizk ki talash karo or raat ko usay talash karo jo tumhai rizk deta hay.

HAZRAT ALI (R.A)



Yeh zindagi 2 din ki hai

1 din tumharay haq mai aur

1 din tumharay mukhaalif

Jis din tumharay haq mai ho us din ghuroor mat kerna aur jis din tumharay mukhaalif ho us din sabr karna.

HAZRAT ALI (R.A)



tum acha karo aur zamana bura samjhay , yeh tumharay haq mai behter hai

bajaye is k tum bura karo aur zamana tum ko acha samjhay

HAZRAT ALI (R.A)



Lambi umeedoon se perhaiz kia karo, kyon k yeh dosri naimtoon ko

Tumhari nazar mai haqeer bana deti hain aur tum unki shukar guzari nahi kertay.

HAZRAT ALI (R.A)



Jub tum dunya ki muflisi se tung aajao aur rizq ka koi rasta na niklay

Tu sadqa de ker ALLAH se tijarat karo.



HAZRAT ALI (R.A)




Silsila - Hijra-e-Nasab Anbia Karam